Jo khayal thay na qayas thay wohi log mujh se bichar gya
Jo khayal thay na qayas thay wohi log mujh se bichar gya
Jo mohabbaton ki asaas thay wohi log mujh se bichar gya
Jinhain manta hi nahi ye dil wohi log merey hain hamsafar
Mujhey har terha sey jo raas thay wohi loga mujh sey bichar gaye
Mujhey lamha bhar ki rifaqaton ki saraab boht satayein gey
Meri umr bher ki jo pyaas thay wohi loga mujh sey bichar gaye
Ye khayal sarey hain aarzi ye gulaab sareey hain kaghzi
Gul e arzo ki jo baas thay wohi loga mujh sey bichar gay
Jinhain ker saka na kubool main wohi shareek e rah safer huey
Jo meri talab meri aas tha wohi loga mujh sey bichar gaya
Meri dharkanon ke kareeb tha meri chah thay mera khuaab tha
Wo jo roz o shab meray pass thay wohi loga mujh sey bichar gaye
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.