Kuch to hawa bhi sard thi
Kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khiyal bhi
Dil ko khushi k saath saath hota raha malaal bhi
Bat wo aadhi raat ki raat wo pooray chaand ki
Chaand bhi ain chait ka us pe tera jamaal bhi
Sab se nazar bacha k wo mujh ko kuch aisy dekhta
Aik dafa to ruk gayi gardish e mah o saal bhi
Dil ko chamak saka ga kya phir bhi tarash k dekha
Sheesha gareen e shehar ke haath ka ye kamaal bhi
Gahe qareb shah rag gahe umeed e daim o khwab
Uss k rafaqato ma rat hijr bhi tha wisaal bhi
Uss k bazon ma aur usko he sochte rahe
Jism k khahish pay thee roh k jaal bhi
Uss ki sukhan taraazin mere liya bhi dhaal thi
Uss ki hansi mein chuph gya apnay ghamon ka haal bhi
Sham ki na samjh hawa pooch rahi hai ik pata
Mouj e hawa e kue yar kuch to mera khiyal bhi
Parveen Shakir