Qadam rakhta hai jab raston pe yar aahista aahista
Qadam rakhta hai jab raston pe yar aahista aahista
Tu chatt jata hai sab gard o ghabar aashista aahista
Bhar aankhon se ho k dil me jana sehl thori hai
Charhay dariyaon ko kartay hain par aahista aahista
Nazar ata hai tu youn daikhta jata ho main us ko
Keh chal parta hai jesay karobar aahista aahista
Idhar khuch auraten darwazon par daori hoi aaeen
Udhar ghoron se utray shahsawar aashista aahista
Kisi din kar khaane e ghazal me kaam niklay ga
Palat aaen ge sabbb be rozgar aahista aahista
Tera paikar khuda ne bhi tu fursat me banaya tha
Teray zaiwar banay ga sunnaar aahista aahista
Meri gosha nasheeni aik din baazar daikhay gi
Zarorat kar rahi be qaraar aahista aahista
Tehzeeb Haafi
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.