Thora likha aur zyada chor diya
Thora likha aur zyada chor diya
Ane walon k liya rasta chor diya
Bs kaanon par hath rakhte tha thori dair
Aur phir os awaz ne peecha chor diya
Tum kia jano os dariya par kia guzri
Tum ne to bs paani bharna chor diya
Larkiya ishq main kitni pagal hoti hain
Phone baja aur chulha jalta chor diya
Roz aik patta mujh aa kar girta hai
Jab se main ne jungle jana chor diya