Mirza Ghalib Poetry In Urdu 2 Lines
Ham ne mana ke tagaful na karoga lekin
Khak ho jaenge ham tum ko khabar hone tak
Ham ko un se wafa ki hai ummid
Jo nahi jante wafa kya hai?
Jan di di hui usi ki thi
Haq to yun ha ke haq ada na hua
Ishq ne ghalib nikamma kar diya
varnah ham b admi tha kaam k
Un k dekhe se jo aa jaati hai muh par ronaq
Wo samajhte hai k bimar ka haal acha hai
Hain aur bhi duniya mein sukhanwar boht achae
Kahte hain ki Ghalib ka hai andaaz e bayaan aur
Dil e nadan tujhe howa kya hai
Akhir is dard ki davaa kya hai
Rago mein daurte phirne k ham nahi qayal
Jab ankh se hi na tapka to phir lahu kya hai
Mirza Ghalib
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.