Aisa khamosh to manzar na fana ka hota
Aisa khamosh to manzar na fana ka hota
Meri tasvir bhi girti to chhanaka hota
Yuun bhi ik bar hota k samundar bahta
Koi ehsas to dariya ki ana ka hota
Saans mausam ki bhi kuch der ko chalne lagti
Koi jhonka tiri palkon ki hawa ka hota
Kanch k paar tire haath nazar aate hain
Kaash khushbu ki tarah rang hina ka hota
Kyu mari shakl pahan leta hain chupne k liya
Ek chehra koi apna bhi Khuda ka hota
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.