Ankhon mein aansuon ko ubharne nahi diya
Mitti mein motiyon ko bikharne nahi diya
Jis rah par pada tha tere panw k nishan
Is rah se kisi ko guzarne nahi diya
Chaha to chahton ki hadon se guzar ga
Nashsha mohabbaton ka utarne nahi diya
Har bar hai naya tere milne kaa zaiqa
Aisa samar kisi bhi shajar ne nahi diya
Ye hijar hai to is ka faqat wasi hai ilaj
Hum ne ye zakhm e waqt ko bharne nahi diya
Itne bade jahan mein jage tu kahan
Is ek khayal ne mujh marne nahi diya
Sahi dikhai de to raha tha bahot qarib
Kashti ko rasta hi bhanwar ne nahi diya
Jitna sakum mila ha tere sath rah mein
Itna sukun to mujhe ghr ne nahi diya
Is ne hansi mein mohabbat ki baat ki
Main Adim us ko mukarne nahi diya
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.