Ashaar mere yun to zamane k liy hain | Jaan Nisar Akhtar Poetry - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Ashaar mere yun to zamane k liy hain | Jaan Nisar Akhtar Poetry

Ashaar mere yun to zamane k liy hain


اشعار مرے یوں تو زمانے کے لیے ہیں

کچھ شعر فقط ان کو سنانے کے لیے ہیں

اب یہ بھی نہیں ٹھیک کہ ہر درد مٹا دیں

کچھ درد کلیجے سے لگانے کے لیے ہیں

سوچو تو بڑی چیز ہے تہذیب بدن کی

ورنہ یہ فقط آگ بجھانے کے لیے ہیں

آنکھوں میں جو بھر لو گے تو کانٹوں سے چبھیں گے

یہ خواب تو پلکوں پہ سجانے کے لیے ہیں

دیکھوں ترے ہاتھوں کو تو لگتا ہے ترے ہاتھ

مندر میں فقط دیپ جلانے کے لیے ہیں

یہ علم کا سودا یہ رسالے یہ کتابیں

اک شخص کی یادوں کو بھلانے کے لیے ہی

pak    Ashaar mere yun to zamane k liy hain

Kuch sher faqat un ko sunane k liya hain


Ab ye bhi nahi theek k har dard mita den

Kuch dard kaleje se lagane k liya hain


Socho to badi cheez hai tahzib badan ki

Warna ye faqat aag bujhane k liya hain


Ankhon mein jo bhar loge to kanton se chubhenge

Ye khwaab to palkon pe sajaane ke liya hain


Dekhun tere hathon ko to lagta hai tere hath

Mandir mein faqat deep jalne k liya hain


Ye ilm ka sauda ye risale ye kitabeb

Ek shakhs ki yaadon ko bhulane k liya hain



Poet : Jan Nisar Akhtar

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.