Mujh aisa lutf ata kiya | Aitbar Sajid | Aitbar Poetry - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Mujh aisa lutf ata kiya | Aitbar Sajid | Aitbar Poetry

 Mujh aisa lutf ata kiya

Mujh aisa lutf ata kiya k jo hijr tha na visal tha
Mere mausmon k mizaj dan tujhe mera kitna khayal tha

Kisi aur chehre ko dekh kar teri shakal zehn mein a gai
Tera nam le ke mila use mere hafiz ka ye haal tha

Kabhi mausmon ke sarab mein kabhi baam o dar k azab mein
Wahan umr hum ne guzar di jahan sans lena muhaal tha

Kabhi tu ne ghaur nahi kiya ki log kaise ujad ga
Koi mir jaisa giraft dil tere samne ki misal tha

Tere baad koi nahi mila jo ye haal dekh ke puchhta 
Mujhe kisi ki aag jala gai mere dil ko kis ka malal tha


Kahin khun e dil se likha to tha tere sal e hijr ka saneha
Wo adhuri diary kho gai wo na jaane kaun sa saal tha

Poet > Aitbar Sajid

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.