Sadam to hai mujh bhi k tujhse juda ho main
Sadam to hai mujh bhi k tujhse juda ho main
Lekin ye sochta ho k ab tera kya hun main
Bikhra parha hai tere hi ghar mein tera wajood
Bekaar mahafilon mein tujh dhundhta ho main
Main khud kashi jurm ka karta ho aitaraf
Apne badan ki qabr main kabse khada ho main
Kis kis ka naam lo zaban par ki tere sath
Har roz ek shakhs naya dekhta ho main
Na jane kis adaa se liya to ne mera naam
Duniya samajh rahi hai ke sab kuch tera ho main
Le mere tajurbon se sabak ae mere raqib
Do chaar saal umer main tujhse bada ho main
Jaaga ho zamir wo aina hai Qateel
Sone se phle roz jisa dekhta ho main
Qateel Shafai
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.