Tinka tinka kantey tore sari raat katai ki
Tinka tinka kantey tore sari raat katai ki
Kayoon itni lambhi hoti hai chandni raat judai ki
Neend mein koi apne ap batain karta rehta
Kaal kowain mein gonjhti awaaz kisi sodai ki
Seene mein is dil ki aahat jaise koi jasoos chaleey
Har saaye ka pichha karna aadat hai harjai ki
Ankho aur kano ma kuch sanatte say bhar jate hai
Kya tum ne urti dekhe hain rait kabhi tanhai ki
Taro k roshan faslain aur chand ki aik daranti Thi
Saho ne girve rakh ley thi mere rat kataye ki
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.