Abhi ik shor sa utha hai kahin - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Abhi ik shor sa utha hai kahin

 Abhi ik shor sa utha hai kahin


Abhi ik shor sa utha hai kahin
Koi khamosh ho gya hai kahin

Hai kuch aisa ki jaise ye sab kuch
Is se phla bhi ho chuka hai kahin

Tujh ko kya ho gaya ki chizon ko
Kahin rakhta hai dundhta hai kahin

Jo yahan se kahin na jaata tha
Wo yahan se chala gaya hai kahin

Aj shamshan ki si bu hai yahan
Kya koi jism jal raha hai kahin

Ham kisi ke nahin jahan se siwa
Aisi wo Khaas baat kya hai kahin

Tu mujhe dhund main tujhe dhundun
Koi ham mein se rah gaya hai kahin

Kitne wahshat hai darmiyan e hujam
Jis ko dekho gaya ho hai kahin

Main to ab shahr mein kahin bhi nahi
Kya mera naam bhi likha hai kahin

Poet : Joun Elia

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.