Hasne nahi deta kahbi rone nahi deta
Hasne nahi deta kahbi rone nahi deta
Ye dil to koi kaam bhi hone nahi deta
Tum Maanga raha ho mere dil se meri khwaish
Bachch to kabhi apne khilone nahi deta
Main kudh hi uthata ho shab o roz ki zillat
Ye bojh kisi or ko dhone nahi deta
Kehta tu bohta hai k khala hai mere andar
Lakin wo kahin hum ko samoone nahi deta
Wo kon hai us se tu main waqif bhi nahi ho
Jo mujh ko kisi or ka hone nahi deta
Bache ki tarha chekhta rehta hai Musalsal#
Kiya khof mere shehar ko sone nahi deta
Abbas Tabish
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.