Wo tu khushboo hai hawaon mein bikhar jayega
Wo tu khushboo hai hawaon mein bikhar jayega
Masla tu phool ka hai phool kidar jaye ga
Hum tu samjhy tha ke ik zakham hai bhar jaye ga
Kiya khabar thi rag e jan main utar jaye ga
Woh hawaon ki tarha khana e bajaan phirta hai
Ik jhonka hai jo aye ga guzar jaye ga
Woh jab aye ga to phir uski rafaaqat ka liya
Mousam e gul mere angan main thehar ja ga
Akhrish wo bhi kabnin rait pe bethe ho gi
Tera ye piyar bhi darya hai utar jae ga
Poet : Parveen Shakir
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.