Labo se lafz jharre, ankh se nami nikle || Tehzeeb Hafi - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Labo se lafz jharre, ankh se nami nikle || Tehzeeb Hafi

 Labo se lafz jharre, ankh se nami nikle

Labo se lafz jharre, ankh se nami nikle
Kisi tarah to mere dil se be dili nikhle

Main chahta hun parinde riha kiya jayeinn
Main chahta hun tere hont se hansi nikhle

Main chahta hun koi mujhse baat karta rahe
Main chahta hun ke andar ki khamashi nikhle

Main chahta hun mujhse taqche me rakha jaye
Main chahta hun jaloon aur raushani nikle

Main chahta hun tere hijr me ajeeb ho kuch
Main chahta hun charagho se teergi nikhle

Main chahta hun tujhe mujhse ishq ho jaye
Main chahta hun k sehre se jalpari nikle

Main chahta hun mujhe koi dard daan kare
Main chahta hun ke ansu hansi khushi nikle

Main chahta hun ke ye raah bahaal ho phir se
Hamari ankh se dil tak koi gali nikle

Taheez Hafi

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.