Woh dil ki baatain zamane bhar ko na yun sunata mujhe batata | Munir Niazi - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Woh dil ki baatain zamane bhar ko na yun sunata mujhe batata | Munir Niazi

Woh dil ki baatain zamane bhar ko na yun sunata mujhe batata
Woh dil ki baatain zamane bhar ko na yun sunata mujhe batata
Woh aik dafah meri mohabbat ko azamata mujhe batata

Zuban e khalqat se janay kya kya wo mujh ko bawar kara raha hai
Kisi bahany ana ki dewaar ko giraata mujhay batata

Zamane walon ko kya pari hai sunay jo haal e dil e shikasta
Magar meri to ye arzo thi mujh bulata mujhe batata

Mujhay khabar hai ka chupkay anheraty us ko nigal rahay hain
Main us ki rahon mein apnay dil ka diya jalata mujhay bataata

Sitam kia hai Munir unsay jo shehr chora hai khamshi say
Main us ki khatir ye sari dunya bhi chor jata mujhey batata

Poet : Munir Niazi


No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.