Koi takra k subuk sar bhi to ho sakta hai
Koi takra k subuk sar bhi to ho sakta hai
Meri tamir mein pathar bhi to ho sakta hai
Kyuun na ae shakhs tujhe haath laga kar dekho
Tu mare vahm se badh kar bhi to ho sakta hai
Tu hi tu hai to phir ab jumla jamal e duniya
Tera shak aur kisi par bhi to ho sakta hai
Ye jo hai phul hatheli pe isa phul na jaan
Mera dil jism se bahar bhi to ho sakta hai
Shakh par baithe parinde ko udane wale
Ped ke haath mein pathar bhi to ho sakta hai
Kya zaruri hai k bahar hi numu ho meri
Mera khilna mire andar bhi to ho sakta hai
Ye jo hai ret ka tila mira qadmon ke tale
Koi dam mein mire upar bhi to ho skta hai
Kya zururi hai ki ham haar ke jiten Tabish
Ishq ka khel barabar bhi to ho sakta hai
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.