Pas-E-Marg Mazar Par
Pas e marg mere mazar par jo chirag kisi ne jala diya
Use ah daman e bad ne sare sham hi es bujha diya
Mujhe dafn karna tu jis ghari to ye us se kahan k ai pari
Wo jo tera ashiq e zar tha tah e khak use dada diya
Dam e gusl se mere peshtar use hamdamon ne ye soch kar
Kahin jawe us ka na dil dahal meri lash paar se hata diya
Meri ankh jhapki thi ek pal mere dil ne chaha k uth k chal
Dil e beqarar ne o miyan wahin chutki le k jaga diya
Zara un ki shoki to dekhiya liya zulf e khamshuda hath mein
Mere piche aya dabe dabe mujhe sanp kah k dara diya
Main ne dil diya main ne jan di magar ah tune qadr ki
Kisi bat ko kaha kabhi use chutkiyon mein ura diya
Poet : Bahadur Shah Zafar