Sab Maaya Hai
Sab maaya hai
Sa dhalti phirti chaya hai
Ishq main ham ne jo khoya hai
Haan gaahe did ki daulat haath ae
Ya ek wo lazzat naam hai jis ka rusva e
Maalum hamen sab qais miyan ka qissa bhi
Sab ek hain ye ranjha bhi ye isha bhi
Kyu dard ke naame likhte likhte raat karo
Jis saat samundar par ki naar ki bat karo
Jis gori par ham ek ghazal har shaam likhen
Tum jante ho ham kyunkar us ka naam likhen
Wo ladki bhi jo chand nagar ki raani thi
WO jis ki alhad ankhon mein hairani thi
Jo log abhi tak naam vafa ka lete hain
Wo jan ke dhoke khate dhoke dete hain
Jab dekh liya har shakhs yahan harjai hai
Is shahr se duur ik kutiya ham ne bana e hai
Poet : Ibn-e-Insha
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.