Gul tira rang chura laae hain gulzaron mein
Gul tira rang chura laae hain gulzaron mein
Jal raha hun bhari barsat ki bauchharon mein
Mujh se katra ke nikal ja magar ai jan-e-haya
Dil ki lau dekh raha hun tire ruḳhsaron mein
Husn-e-be-gana-e ehsas-e-jamal achchha hai
Ghunche khilte hain to bik jaate hain bazaron mein
Zikr karte hain tira mujh se ba-unvan-e-jafa
Chara-gar par piro lae hain talvaron mein
Zakhm chhup sakte hain lekin mujhe fan ki saugand
Gham ki daulat bhi hai shamil mire shahkaron mein
Muntazir hain ki koi tesha-e-taḳhliq uTha
Kitne asnam abhi dafan hain kohsaron mein
Mujh ko nafrat se nahin pyaar se maslub karo
Main to shamil hun mohabbat ke gunahgaron mein
AHMAD NADEEM QASMI
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.