Ab to ghabra ke yeh kehte hain
Ab to ghabra ke yeh kehte hain ke mar jayen ge
Mar ke bhi chain nah paaya to kidhar jayen ge
Samnay chasham Gohr baar ke keh do darya
Charh ke gir aaye to nazron se utar jayen ge
laaye jo mast hain turbat pay gulaabii ankhen
Aur agar kuch nahi do phool to dhar jayen ge
Bachchen ge reh guzar yaar talak kionkar hum
Pehlay jab tak nah do aalam se guzar jayen ge
Aag dozakh ki bhi ho jaye gi pani pani
Jab yeh aassi arq sharam se tar jayen ge
Hum nahi woh jo karen khoon ka daawa tujh se
Balkay pouchye ga kkhuda bhi to makr jayen ge
Rukh roshan se naqaab –apne ulat dekho tum
Mohar o Meh nazron se yaaron ki utar jayen ge
Zouq jo madrassa ke bigre hue hain mُla
Un ko Meh khanah mein le aao sanwar jayen ge
Poet : Mohammad Ibrahim Zauq
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.