Farz karo hum ehley wafa hon
Farz karo hum ehl-e-wafaa hon, farz karo deewane hon,
Farz karo yeh donon baten jhooti hon, afsane hon,
Farz karo yeh jee ki bipta jee se jorr sunayi ho,
Farz karo abhi aur ho itni aadhi hum ne chupaayi ho,
Farz karo tumhen khush karne ke dhoonde hum ne bahane hon,
Farz kar yeh nain tumhare sachh-much ke mai-khane hon,
Farz karo yeh rog ho jhoota, jhooti peet hamari ho
Farz karo is peet ke rog main saans bhi hum par bhari ho
Farz karo yeh jog ba-jog ka hum ne dhong rachaya ho
Farz karo bas yehi haqeeqat, baqi sab kuch maya ho
Dekh meri jaan keh gaye baahu kaun dilon ki jaane hu
Basti basti sehraa sehraa lakhon karen deewane hu
Jogi bhi jo nagar nagar main maare maare phirte hain
Kaasa liye bhabuut ramaye sab ke dvare phirte hain
Shayar bhi jo meethi baani bol ke mann ko harte hain
Banjare jo unche damon jee ke saude karte hain
In main sache moti bhi hain, in main kankar pathar bhi
In main uthle paani bhi hain, in main gehre saagar bhi
Gori dekh ke aage barrhna sab ka jhoota sacha hu
Doobne wali doob gayi woh gharra tha jis kacha hu
Ibn E Insha
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.