Hum Se Kia Puchte Ho Hijar | Wasi Shah - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Hum Se Kia Puchte Ho Hijar | Wasi Shah

 Hum Se Kia Puchte Ho Hijar

Hum Se Kia Puchte Ho Hijar


Hum Se Kya Puchte Ho Hijar Mein Kya Karte Hain
Tere Laut Aane Kee Din Raat Dua Karte Hain

Ab Koi Honth Nahi In Ko Churane Aate
Meri Aankhon Mein Agar Ashk Hua Karte Hain

Teri Tu Jane, Par Ai Jane-Tammana Hum To
Saans Ke Saath Tujhe Yaad Kiya Karte Hain

Tu Hi Pehlu Mein Nahi Warna December Mein Wahin
Dhoop Mein Akhbaar Padhaa Karte Hain

Kabhi Yaadon Mein Tujhe Baahon Mein Bhar Lete Hain
Kabhi Khawbon Mein Tujhe Chum Liya Karte Hain

Teri Tasveer Laga Lete Hain Hum Seene Se
Phir Tere Khat Se Teri Baat Kiya Karte Hain

Gar Tujhe Chorrne Kee Soch Bhi Aaye Dil Mein
Hum To Khud Ko Bhi Wahin Chorr Diya Karte Hain

Wasi Shah 

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.