Giraftaa dil haiN bahut aaj tere deewane
Giraftaa dil haiN bahut aaj tere deewane
Khuda kare koi tere siva na pahchaane
Miti miti si umeedaiN thake thake se khayaal
Bujhe bujhe se nigaahoN meN Gham ke afsaane
Hazaar shukr K hum ne zubaaN se kuch na kaha
Yeh aur baat K poochhaa na ahl E duniya ne
Ba-qadr-e-tashna-labi pursish-e-wafa na huee
Chhalak ke rah gaye teri nazar ke paimaane
Khayaal aa gaya maayuus rahguzaaroN ka
Palat ke aa gaye manzil se tere deewane
KahaaN hai tu K tere intezaar meN ae dost
Tamaam raat sulagte haiN dil ke veeraane
Ummeed E pursish E Gham kis se keejiye ‘Nasir’
Jo mere dil pe guzarti hai koi kya jaane
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.