Hoti hai tere naam se wehshat kabhi kabhi
Hoti hai tere naam se wehshat kabhi kabhi
Barham hui hai yu'n bhi, tabiyat kabhi kabhi
Ey dil kise naseeb ye taufeeq-e-iztiraab
Milti hai zindagi main ye rahat kabhi kabhi
Tere karam se ae alam-e-husan-e-afree'n
Dil ban gaya hai dost ki khilwat kabhi kabhi
Josh-e-junoo'n mein dard ki tugyanio'n ke saath
Ashko'n mein dhul gai teri surat kabhi kabhi
Tere qareeb reh ke bhi dil mutmain na tha
Guzri hai mujhe pe ye bhi qayamat kabhi kabhi
Kuch apna hosh tha na kuchh tumhara khayal tha
yoo'n bhi guzar gai shab-e-furqat kabhi kabhi
Ae dost humne tark-e-mohabbat ke bawajood
mehsoos ki hai teri zaroorat kabhi kabhi
Nasir kazmi poetry
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.