Ishq main jeet hui ya maat | Nasir Kazmi - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Ishq main jeet hui ya maat | Nasir Kazmi

 Ishq main jeet hui ya maat

Ishq main jeet hui ya maat

Ishq main jeet hui ya maat
Aaj ki raat na chairr yeh baat

Youn aaya woh jaan-e-bahar
Jaisay jag main phailay baat

Rang khilay sehra ki dhoop
Zulf ghannay jungle ki raat

Kuch na suna aur kuch na kaha 
Dil main reh gayi dil ki baat 

Yaar ki nagri koson door
Kaisay kattay gi bhaari raat 

Basti walon se chup kar 
Ro letay hain pichli raat 

Snaaton main suntay hain 
Suni sunaai koi baat 

Phir jaaray ki rutt aayi 
Chotay din aur lambi raat

Nasir Kazmi

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.