khamosh ho kyun dadِ jfaa kyun nahi dete | Ahmad Faraz - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

khamosh ho kyun dadِ jfaa kyun nahi dete | Ahmad Faraz

 khamosh ho kyun dadِ jfaa kyun nahi dete

khamosh ho kyun dadِ jfaa kyun nahi dete

khamosh ho kyun dadِ jfaa kyun nahi dete
Bismal ho to qaatil ko dua kyun nahi dete

Wehshat ka sabab rosin zandan to nahi hai
Mohar o Meh o Anjum ko bujha kyun nahi dete

Ik yeh bhi to andaz ilaaj gham e jaan hai
Ae charah guru! dard barha kyun nahi dete

Munsif ho agar tum to kab insaaf karo ge
Mujrim hain agar hum to saza kyun nahi dete

Rehzan ho to haazir hai mata-e dil o jaan bhi
Rehbar ho to manzil ka pata kyun nahi dete

Kya beeet gayi ab ke faraz ehley chaman par
Yaranِ qafas mujh ko sada kyun nahi dete

Ahmad Faraz

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.