Khud Badalte Nahin Quran Ko Badal Dete Hain | Allama Iqbal - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Khud Badalte Nahin Quran Ko Badal Dete Hain | Allama Iqbal

 Khud Badalte Nahin Quran Ko Badal Dete Hain

Khud Badalte Nahin Quran Ko Badal Dete Hain

Hind Mein Hikmat-e-Deen Koi Kahan Se Sikhe
Na Kahin Lazzat-e-Kirdar, Na Afkar-e-Aumeeq

Halqa-e-Shouk Mein Woh Jurrat-e-Andesha Kahan
Aah Mehkoomi-o-Taqleed-o-Zawal-e-Tehqeeq

Khud Badalte Nahin Quran Ko Badal Dete Hain
Huwe Kis Darja Faqeehan-e-Haram Be-Toufeeq

In Ghulamon Ka Ye Maslak Hai Ke Naqis Hai Kitab
Ke Sikhati Nahin Momin Ko Ghulami Ke Tareeq

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.