kuch aisa Itra mein is sang dil ke sheeshay mein
Kuch aisa Itra mein is sang dil ke sheeshay mein
Ke chand saans bhi aaye nah –apne hissay mein
Woh aik aisay samandar ke roop mein aaya
Ke Umar kat gayi jis ko uboor karne mein
Mujhe khud apni talabb ka nahi hai andaza
Yeh kaayenaat bhi thori hai mere kaasay mein
Mili to hai meri tanhaiyon ko azadi
Jari hui hain kuch ankhen magar dareechay mein
Ghanim bhi koi mujh ko nazar nahi aata
Ghira sun-hwa bhi hon charon taraf se khatray mein
Mra shaoor bhi shayad woh tifal kamsin hai
Bhichar gaya hai jo gmrahyon ke melay mein
Hunar hai shairi shatranj shoq hai mera
Yeh jaedad muzaffar mili hai virsay mein
Muzaffar Varsi
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.