Digargoon Hai Jahan Taron Ki Gardish Taiz Hai Saqi
Digargoon Hai Jahan Taron Ki Gardish Taiz Hai Saqi
Dil Har Zarra Mein Ghogha’ay Rasta Khaiz Hai Saqi
Mataa-E-Deen-O-Danish Lut Gyi Allah Walon Ki
Ye Kis Kafir Ada Ka Ghamzada’ay Khoonraiz Hai Saqi
Wohi Daireena Bemari! Wohi Na-Mehkami Dil Ki
Ilaj Iss Ka Wohi Aab-E-Nishaat Anghaiz Hai Saqi
Haram Ke Dil Mein Souz-E-Arzoo Payda Nahin Hota
Ke Paidai Teri Ab Tak Hijab Amaiz Hai Saqi
Na Utha Phir Koi Rumi Ajam Ke Lala-Zaaron Se
Wohi Aab-O-Gill-E-Iran, Wohi Tabraiz Hai Saqi
Nahin Hai Na-Umeed Iqbal Apni Kisht-E-Weeran Se
Zara Nam Ho To Ye Mitti Bohat Zarkhaiz Hai Saqi
Faqeer-E-Rah Ko Bakhshe Ga’ay Asrar-E-Sultani
Baha Meri Nawa Ki Doulat-E-Pervaiz Hai Saqi
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.