La Phir Ek Baar Wahi Baadah-o-Jaam Aye Saaqi - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

La Phir Ek Baar Wahi Baadah-o-Jaam Aye Saaqi

 La Phir Ek Baar Wahi Baadah-o-Jaam Aye Saaqi

La Phir Ek Baar Wahi Baadah-o-Jaam Aye Saaqi



La Phir Ek Baar Wahi Baadah-o-Jaam Aye Saaqi!
Haath Aajaye Mujhe Mera Maqaam Aye Saaqi!

Teen So Saal Se Hain Hind Ke Mai-Khaane Band;
Ab Munaasib Hai Tera Faiz Ho Aam Aye Saaqi!

Mere Maina-e-Ghazal Mein Thi Zara Si Baaki;
Shaikh Kehta Hai Ke, "Hai Ye Bhi Haraam Aye Saaqi!

Sher Mardon Se Hua Baisha-e-Tehqeeq Tahi!
Reh Gaye Sufi-o-Mullah Ke Ghulam Aey Saaqi!

Ishq Ki Taigh-e-Jigar Daar Uda Li Kisne?
ILM Kay Haath Mein Khali Hai Nayaam Aey Saaqi!

Seenah Roshan Ho, Tho Hai Soz-o-Sukhan Ain-e-Hayaat;
Ho Na Roshan, Tho Sukhan Marg-e-Dawaam Aey Saaqi.

Tu Meri Raat Ko Mehtaab Se Meroom Na Rakh;
Tere Paimaane Mein Hai Mah-e-Tamaam Aye Saaqi.
Bal-e-Jibril

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.