Mirza Ghalib Ghazal in Urdu
Kyuun gardish-e-mudam se ghabra na jae dil
Insan huun piyala o saghar nahin hun main
Ya-rab zamana mujh ko miTata hai kis liye
Lauh-e-jahan pe harf-e-mukarrar nahin hun main
Had chahiye saza men uqubat ke vaste
Akhir gunahgar huun kafar nahin hun main
Kis vaste aziiz nahin jante mujhe
Laal o zamurrad o zar o gauhar nahin hun main
Rakhte ho tum qadam miri ankhon se kyun daregh
Rutbe men mahr-o-mah se kam-tar nahin hun main
Karte ho mujh ko mana-e-qadam-bos kis liye
Kya asman ke bhi barabar nahin hun main
Ghalib vazifa-khvar ho do shaah ko dua
Wo din gae ki kahte the naukar nahin hun main
MIRZA GHALIB
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.