Chahat mein kya duniya dari
Chahat mein kya duniya dari ishq mein kaisi majburi
Logon ka kya samjhane do un ki apni majburi
Main ne dil ki baat rakhi aur tu ne duniya walon ki
Meri arz bhi majburi thi un ka hukm bhi majburi
Rok sako to pahli barish ki bundon ko tum roko
Kachchi mitti to mahkegi hai mitti majburi
Zat kade mein pahron batein aur milin to mohr ba lab
Jabe-e-vaqt ne bakhshi ham ko ab ke kaisi mabjburi
Jab tak hansta gaata mausam apna hai sab apne hain
Waqt pade to yaad ae jaati hai masnui majburi
Ik avara badal se kyun main ne saaya manga tha
Meri bhi ye nadani thi us ki thi majburi
Muddat guzri ik vaade par bhi qaaem hain 'Mohsin'
Ham ne saari umr nibahi apahli majburi
Moshsin Bhopali
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.